Monday, September 21, 2009

Service

Jaise sansar 'par' hain, aise hi sharir, indriyan, mann aur buddhi bhi 'par' yaani doosre hi hain. Isliye karmyogi inko bhi apna na maankar, inki bhi seva karta hain.
(You should serve the body, sensory organs, the heart and the mind for they are separate from you.)

  • Sharirko nidralu, aalsi, pramaadi, nikamma aur bhogi na banne dena, sharir ki seva hain. (To avoid letting the body become lethargic is the service to the body.)
  • Indriyon ko saansarik bhogo main na lagne dena, indriyon ki seva hain. (To avoid letting the sensory organs become craving for worldly pleasures is the service to the sensory organs.)
  • Mann ko kissika ahit sochne main, vishayon ke chintan main aur vyarth chintan main na lagne dena, mann ki seva hain. (To avoid letting the heart - think ill for others, think about worldly pleasures and take wasteful tensions - is the service to the heart.)
  • Buddhi ko doosro ke kartavya par vichaar na karne dena, doosra kya karta hain, kya nahin - yeh na sochne dena, buddhi ki seva hain. (To avoid letting the mind think - about the responsibilities of others, about what others do and don't - is the service to the mind.)
Vaastav main sharir, indriyan, mann aur buddhi main mamta-aasakti na rakhna he inki sabse badi seva hain.
(Actually speaking, to not get attached / fond of the body, sensory organs, the heart and the mind is the greatest service to them.)

Excerpt from Sadhak Sanjivani - Swami Ramsukhdasji Maharaj

No comments: