Thursday, August 14, 2008

haseena-e-kaif

Aaj ka din beeta
Jaise ho zindagi ka sabse bura
Itna lamba lag raha tha
Ho hi nahin raha tha poora

Pata nahin chal raha tha main kahan hoon
Hosh hi nahin raha poore din
Lag raha tha kya main kar daalu
Khayal aa rahein the bhin bhin

Kuch jyaada khaaya piya nahin subah se
Logo ne poocha ki kya hua hain par nahin bataya
Khud mujhe hi nahin pata tha to kya batata
Kuch dikat hain aisa nahin jataya

Phir jab din dhala
Kuch jaan main jaan aayi
Sone pe suhaga
Mere dost ne achi khabar sunayi

Ms. Kaif ka ho gaya hain break-up
Matlab ab line hain clear
Ab intezaar khatam
Here I come, my dear

Sallu miya to dhoke baaz hain
Main nahin vaisa
Tumhare saare aashiq bhaag jaaye
Ab karein kuch aisa

No comments: